Friday, December 21, 2012

Kashmakash

Thodi der pehle tum se baat hui
Sab to keh diya, na baat koi rahi
Shayad sab kaha, shayad nahi

Tumhara khayaal phir aagaya yun hi
Dil se juda yeh khayaal hota kyun nahi
Faisle dil le leta kyun apni marzi se hi
Yeh khata hum se kaise ho gayi
Dhyaan diya hi kyun baat pe dil ki
Isi kashmakash mein raat guzar gayi
Isi kashmakash mein phir subah hui

No comments:

Post a Comment